rang ubhar aae sab pas-e-diwar
rang ubhar aa.e sab pas-e-dīvār
itnī tīkhī thī raushnī kī dhaar
ḳhud meñ rahne kā ye bhī ḳhadsha hai
ho na jā.ūñ kahīñ maiñ apnā shikār
ab ke tanhā.ī jān-levā hai
ḳhud se bāhar nikal kisī ko pukār
ye nadī ab utar bhī jaa.e to kyā
kaun rahtā hai ab mirā us paar
kaam kitne hī rah ga.e mere
laTe aayā thā sub.h kā aḳhbār
apnī vīrāniyoñ meñ lauT aa.e
ham se dekhā gayā na rang-e-bahār
rang ubhar aae sab pas-e-diwar
itni tikhi thi raushni ki dhaar
KHud mein rahne ka ye bhi KHadsha hai
ho na jaun kahin main apna shikar
ab ke tanhai jaan-lewa hai
KHud se bahar nikal kisi ko pukar
ye nadi ab utar bhi jae to kya
kaun rahta hai ab mera us par
kaam kitne hi rah gae mere
laTe aaya tha subh ka aKHbar
apni viraniyon mein lauT aae
hum se dekha gaya na rang-e-bahaar
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 21)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.