Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya

Ravish Siddiqi

rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya

Ravish Siddiqi

MORE BYRavish Siddiqi

    rañg us mahfil-e-tamkīñ meñ jamāyā na gayā

    ḳhāmushī se bhī mirā haal sunāyā na gayā

    vahshat-e-dil ne hijābāt-e-jahāñ chaak kiye

    ek parda ruḳh-e-jānāñ se uThāyā na gayā

    'ishq ik daaġh sahī dāman-e-hastī pe magar

    ḳhud mashiyyat se bhī ye daaġh miTāyā na gayā

    kar diyā daftar-e-hastī to pareshāñ dil ne

    magar ik ḳhvāb-e-pareshāñ ko bhulāyā na gayā

    vo añdherā thā ki hangām-e-sahar bhī ham se

    sham-e-andoh-e-judā.ī ko bujhāyā na gayā

    sarhad-e-ishq se aage na baḌhī vahshat-e-'ishq

    husn-e-hushyār ko dīvāna banāyā na gayā

    laakh unvāñ se bhulānā unheñ chāhā thā 'ravish'

    kisī unvāñ se magar un ko bhulāyā na gayā

    rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya

    KHamushi se bhi mera haal sunaya na gaya

    wahshat-e-dil ne hijabaat-e-jahan chaak kiye

    ek parda ruKH-e-jaanan se uThaya na gaya

    'ishq ek dagh sahi daman-e-hasti pe magar

    KHud mashiyyat se bhi ye dagh miTaya na gaya

    kar diya daftar-e-hasti to pareshan dil ne

    magar ek KHwab-e-pareshan ko bhulaya na gaya

    wo andhera tha ki hangam-e-sahar bhi hum se

    sham-e-andoh-e-judai ko bujhaya na gaya

    sarhad-e-ishq se aage na baDhi wahshat-e-'ishq

    husn-e-hushyar ko diwana banaya na gaya

    lakh unwan se bhulana unhen chaha tha 'rawish'

    kisi unwan se magar un ko bhulaya na gaya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 87)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now