rangon ka tamannai na saudai hun ras ka
rangoñ kā tamannā.ī na saudā.ī huuñ ras kā
nashsha hai mire ḳhuuñ meñ abhī maut ke mas kā
baiThā huuñ kisī aur sadā ke liye varna
guzrā hai mire sar se bhī āvāza jaras kā
hai ruuh kā shab shor talātum to baḌī chiiz
ye jism kā johaḌ hī nahīñ hai mire bas kā
bahtā huā patta thā koī mauj-e-ravāñ par
chaḌhtā huā sar meñ koī dariyā thā havas kā
niklā huuñ nayā ho ke samundar ke safar par
peshānī se har daaġh dhulā pichhle baras kā
is tarh 'zafar' sab ko havā qaid karegī
degā na dikhā.ī kahīñ darvāza qafas kā
rangon ka tamannai na saudai hun ras ka
nashsha hai mere KHun mein abhi maut ke mas ka
baiTha hun kisi aur sada ke liye warna
guzra hai mere sar se bhi aawaza jaras ka
hai ruh ka shab shor talatum to baDi chiz
ye jism ka johaD hi nahin hai mere bas ka
bahta hua patta tha koi mauj-e-rawan par
chaDhta hua sar mein koi dariya tha hawas ka
nikla hun naya ho ke samundar ke safar par
peshani se har dagh dhula pichhle baras ka
is tarh 'zafar' sab ko hawa qaid karegi
dega na dikhai kahin darwaza qafas ka
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 45)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.