Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rangon ki barsat thi kaisi phagan mein

Raj Kheti

rangon ki barsat thi kaisi phagan mein

Raj Kheti

MORE BYRaj Kheti

    rangoñ barsāt thī kaisī phāgan meñ

    phuul khile the kalī kalī ghar āñgan meñ

    ab tak us yaad meñ tan-man jaltā hai

    dhokā mujh ko jis ne diyā thā sāvan meñ

    janam maran chakkar kab puurā hogā

    sadiyāñ biit ga.ī haiñ aavan jāvan meñ

    āñkheñ nis-din niir bahātī rahtī haiñ

    aag lagī hai kaisī mere tan-man meñ

    us badan to ā.īnoñ ko sharmā.e

    kyoñ vo mukhḌā dekh rahī thī darpan meñ

    jal-thal jal-thal umaḌ ghumaḌ barse bādal

    pyaas miTī nahīñ phir bhī merī sāvan meñ

    kaun ujāle le kar mere ghar aaya

    dhuup utar aa.ī hai mere āñgan meñ

    jab chāhegī phan ko uThā kar Das legī

    amrit paa.e kaise koī nāgan meñ

    badal ga.e āseboñ meñ vo chehre kyoñ

    dekhe jin ke ḳhvāb suhāne bachpan meñ

    Dar aur zulm yaaro koī ant nahīñ

    ḳhud ko DhūñD rahe haiñ log ab rāvan meñ

    'raaj bahut mushkil hai lenā sukh saañs

    dukh ne aisā jakaḌ liyā hai bandhan meñ

    rangon ki barsat thi kaisi phagan mein

    phul khile the kali kali ghar aangan mein

    ab tak us ki yaad mein tan-man jalta hai

    dhoka mujh ko jis ne diya tha sawan mein

    janam maran ka chakkar kab pura hoga

    sadiyan bit gai hain aawan jawan mein

    aankhen nis-din nir bahati rahti hain

    aag lagi hai kaisi mere tan-man mein

    us ka badan to aainon ko sharmae

    kyon wo mukhDa dekh rahi thi darpan mein

    jal-thal jal-thal umaD ghumaD barse baadal

    pyas miTi nahin phir bhi meri sawan mein

    kaun ujale le kar mere ghar aaya

    dhup utar aai hai mere aangan mein

    jab chahegi phan ko uTha kar Das legi

    amrit pae kaise koi nagan mein

    badal gae aasebon mein wo chehre kyon

    dekhe jin ke KHwab suhane bachpan mein

    Dar aur zulm ka yaro koi ant nahin

    KHud ko DhunD rahe hain log ab rawan mein

    'raj bahut mushkil hai lena sukh ka sans

    dukh ne aisa jakaD liya hai bandhan mein

    Source:

    Band Darvaze Par Dastak (Pg. 85)

    • Author: Raj Kheti
      • Publisher: Sutoor Parkashan, New Delhi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now