ranj hote the farawani nahin hoti thi
ranj hote the farāvānī nahīñ hotī thī
pahle is darja pareshānī nahīñ hotī thī
maan letā thā har ik hukm har ik baat us kī
baat bhī vo jo kabhī maanī nahīñ hotī thī
ḳhud ko phir jaan ke miTTī ke havāle kiyā hai
tujh se bhī ḳhair nigahbānī nahīñ hotī thī
kis qadar sahl thā taḳhtī ko miTānā likhnā
daur āsān thā āsānī nahīñ hotī thī
roz-e-avval se masā.ib ke pahāḌoñ par thā
is qadar be-sar-o-sāmānī nahīñ hotī thī
zindagī terī 'ināyat thī ki sautelā-pan
dekhne vāloñ ko hairānī nahīñ hotī thī
jis tarah mere 'alī jang meñ DaT jaate the
tū batā quvvat-e-yazdānī nahīñ hotī thī
ranj hote the farawani nahin hoti thi
pahle is darja pareshani nahin hoti thi
man leta tha har ek hukm har ek baat us ki
baat bhi wo jo kabhi mani nahin hoti thi
KHud ko phir jaan ke miTTi ke hawale kiya hai
tujh se bhi KHair nigahbani nahin hoti thi
kis qadar sahl tha taKHti ko miTana likhna
daur aasan tha aasani nahin hoti thi
roz-e-awwal se masaib ke pahaDon par tha
is qadar be-sar-o-samani nahin hoti thi
zindagi teri 'inayat thi ki sautela-pan
dekhne walon ko hairani nahin hoti thi
jis tarah mere 'ali jang mein DaT jate the
tu bata quwwat-e-yazdani nahin hoti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.