ranj ki be-shak ghaDi achchhi nahin
ranj kī be-shak ghaḌī achchhī nahīñ
par na kahnā zindagī achchhī nahīñ
naam kāġhaz par yuuñ likh kar chūmnā
is qadar dīvāngī achchhī nahīñ
sāmne manzil magar paanā kaThin
raah kāñToñ se bharī achchhī nahīñ
aañkh meñ aañsū bachā kar mat rakho
in gharoñdoñ meñ namī achchhī nahīñ
dard apne dil meñ tum paidā karo
dard ke bin shā'irī achchhī nahīñ
shaad ho tum mere ġham ko dekh kar
is qadar bhī dushmanī achchhī nahīñ
ranj ki be-shak ghaDi achchhi nahin
par na kahna zindagi achchhi nahin
nam kaghaz par yun likh kar chumna
is qadar diwangi achchhi nahin
samne manzil magar pana kaThin
rah kanTon se bhari achchhi nahin
aankh mein aansu bacha kar mat rakho
in gharondon mein nami achchhi nahin
dard apne dil mein tum paida karo
dard ke bin sha'iri achchhi nahin
shad ho tum mere gham ko dekh kar
is qadar bhi dushmani achchhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.