Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ranj-o-alam ki baadh mein iman bah gaya

Shaz Malik

ranj-o-alam ki baadh mein iman bah gaya

Shaz Malik

MORE BYShaz Malik

    ranj-o-alam baaḌh meñ īmān bah gayā

    beTī ke jab jahez sāmān bah gayā

    kuchh is tarah se TuuT ke ro.e tamām raat

    jo bach gayā thā āḳhirī armān bah gayā

    kal raat maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā hai ek ḳhvāb

    insāf āñkheñ gayā mīzān bah gayā

    ye raaz khul sakā na kabhī is shu.ūr par

    kyoñ mauj-e-ġham meñ ruuh juzdān bah gayā

    ḳhāliq ko jaan kar bhī na pahchān paayā jab

    us vaqt is ġhurūr meñ shaitān bah gayā

    halkān ho rahī huuñ maiñ ye soch soch kar

    sailāb-e-shar meñ kyoñ bhalā insān bah gayā

    sajde meñ gir ke ashk bahā.e the 'shāz' chaar

    dil makīn ruuh ḳhaljān bah gayā

    ranj-o-alam ki baDh mein iman bah gaya

    beTi ke jab jahez ka saman bah gaya

    kuchh is tarah se TuT ke roe tamam raat

    jo bach gaya tha aaKHiri arman bah gaya

    kal raat main ne KHwab mein dekha hai ek KHwab

    insaf aankhen pa gaya mizan bah gaya

    ye raaz khul saka na kabhi is shuur par

    kyon mauj-e-gham mein ruh ka juzdan bah gaya

    KHaliq ko jaan kar bhi na pahchan paya jab

    us waqt is ghurur mein shaitan bah gaya

    halkan ho rahi hun main ye soch soch kar

    sailab-e-shar mein kyon bhala insan bah gaya

    sajde mein gir ke ashk bahae the 'shaz' chaar

    dil ka makin ruh ka KHaljaan bah gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now