Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ranj par ranj musibat si musibat dekhi

Mohammad Yusuf Rasikh

ranj par ranj musibat si musibat dekhi

Mohammad Yusuf Rasikh

MORE BYMohammad Yusuf Rasikh

    rañj par rañj musībat musībat dekhī

    hijr-e-maulā meñ ye ārām sūrat dekhī

    mahv-e-dīdār rahe hashr meñ āshiq tere

    aañkh uThā kar na kabhī ḳhuld sūrat dekhī

    le liyā vāda-e-baḳhshish bhī duhā.ī kar ke

    shāfe-e-hashr ummat se mohabbat dekhī

    aa ga.ī mujh ko nazar ġhāyat-e-chashm-e-mushtāq

    qabr meñ aa ke mohammad jo sūrat dekhī

    āzmātī hai shab-e-hijr mujhe kyā hamdam

    maiñ to ḳhush huuñ ki judā.ī haqīqat dekhī

    jalve va.ada qayāmat pe kiyā thā mauqūf

    aap ke hijr meñ sau baar qayāmat dekhī

    ḳhush-nasībī hai ki maiñ ashraf-e-maḳhlūq huā

    lillāhil-hamd ġham-e-ishq lazzat dekhī

    ḳhār-e-taiba ko gul-e-ḳhuld se baḌh kar samjhe

    ham ne in kāñToñ meñ vo bū-e-mohabbat dekhī

    daur-e-sāġhar se to pahle na thā hosh mujhe

    maiñ ne saaqī nigāhoñ meñ karāmat dekhī

    parda-e-hashr meñ poshīda rakhā apnā jamāl

    us ne jab tālib-e-dīdār kasrat dekhī

    duḳhtar-e-raz nigāhoñ se bachā.e allāh

    aap ne 'rāsiḳh'-e-mai-ḳhvār hālat dekhī

    ranj par ranj musibat si musibat dekhi

    hijr-e-maula mein ye aaram ki surat dekhi

    mahw-e-didar rahe hashr mein aashiq tere

    aankh uTha kar na kabhi KHuld ki surat dekhi

    le liya wada-e-baKHshish bhi duhai kar ke

    shafe-e-hashr ki ummat se mohabbat dekhi

    aa gai mujh ko nazar ghayat-e-chashm-e-mushtaq

    qabr mein aa ke mohammad ki jo surat dekhi

    aazmati hai shab-e-hijr mujhe kya hamdam

    main to KHush hun ki judai ki haqiqat dekhi

    jalwe ka wada qayamat pe kiya tha mauquf

    aap ke hijr mein sau bar qayamat dekhi

    KHush-nasibi hai ki main ashraf-e-maKHluq hua

    lillahil-hamd gham-e-ishq ki lazzat dekhi

    KHar-e-taiba ko gul-e-KHuld se baDh kar samjhe

    hum ne in kanTon mein wo bu-e-mohabbat dekhi

    daur-e-saghar se to pahle hi na tha hosh mujhe

    main ne saqi ki nigahon mein karamat dekhi

    parda-e-hashr mein poshida rakha apna jamal

    us ne jab talib-e-didar ki kasrat dekhi

    duKHtar-e-raz ki nigahon se bachae allah

    aap ne 'rasiKH'-e-mai-KHwar ki haalat dekhi

    Source:

    Auraq-e-Pareshan (Pg. 82)

    • Author: Mohammad Yusuf Rasikh
      • Publisher: Mohammad Yusuf Rasikh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now