Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ranj sahte hain gham uThate hain

Shaida Ambalvi

ranj sahte hain gham uThate hain

Shaida Ambalvi

MORE BYShaida Ambalvi

    ranj sahte haiñ ġham uThāte haiñ

    phir bhī ham muskurā.e jaate haiñ

    tere kushtoñ hai yahī gangā

    apne ḳhuun meñ nahāte haiñ

    zabt se laakh kaam le koī

    ishq ke raaz khul jaate haiñ

    ham dushman na ho koī apnā

    dostī fareb khāte haiñ

    dil churāyā nahīñ agar merā

    mujh se āñkheñ vo kyoñ churāte haiñ

    soz-e-ulfat ke dil-nashīñ naġhme

    sāz-e-dil par gaa.e jaate haiñ

    ḳhush-dilī aate aate aatī hai

    ranj-o-ġham jaate jaate jaate haiñ

    rashk had hai ye ki ham un ko

    apnī nazroñ se bhī chhupāte haiñ

    manzil-e-dost aa ga.ī 'shaidā'

    paañv kyoñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ

    ranj sahte hain gham uThate hain

    phir bhi hum muskurae jate hain

    tere kushton ki hai yahi ganga

    apne hi KHun mein nahate hain

    zabt se lakh kaam le koi

    ishq ke raaz khul hi jate hain

    hum sa dushman na ho koi apna

    dosti ka fareb khate hain

    dil churaya nahin agar mera

    mujh se aankhen wo kyon churaate hain

    soz-e-ulfat ke dil-nashin naghme

    saz-e-dil par hi gae jate hain

    KHush-dili aate aate aati hai

    ranj-o-gham jate jate jate hain

    rashk ki had hai ye ki hum un ko

    apni nazron se bhi chhupate hain

    manzil-e-dost aa gai 'shaida'

    panw kyon laDkhaDae jate hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now