ranjisheñ sab miTā ke aaya huuñ
maiñ bahut duur jā ke aaya huuñ
maiñ madad-gār thā charāġhoñ kā
kaam lekin havā ke aaya huuñ
us ko mil bhī nahīñ sakūñgā maiñ
aur patā bhī batā ke aaya huuñ
dasht kāñdhā thapak rahā hai mirā
ḳhāk-e-dariyā uḌā ke aaya huuñ
vo bhī ḳhud ko valī samajhtā hai
jis ko pāgal banā ke aaya huuñ
ranjishen sab miTa ke aaya hun
main bahut dur ja ke aaya hun
main madad-gar tha charaghon ka
kaam lekin hawa ke aaya hun
us ko mil bhi nahin sakunga main
aur pata bhi bata ke aaya hun
dasht kandha thapak raha hai mera
KHak-e-dariya uDa ke aaya hun
wo bhi KHud ko wali samajhta hai
jis ko pagal bana ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.