Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai

Mahendra Partap Chand

ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai

Mahendra Partap Chand

MORE BYMahendra Partap Chand

    ranjishoñ ne jazba-e-iḳhlās garmāyā bhī hai

    dostī meñ ham ne kuchh khoyā hai kuchh paayā bhī hai

    ik zarā baat par kyuuñ kar ta.alluq toḌ duuñ

    vo purānā yaar bhī hai merā ham-sāya bhī hai

    is taraf dekhā to hai be-shak hiqārat se sahī

    shukr hai itnā karam to is ne farmāyā bhī hai

    yuuñ to kuchh qīmat nahīñ jins-e-vafā haañ magar

    jis qadar arzāñ hai ye itnī garāñ-māya bhī hai

    sair phir bhī ho nahīñ paayā dil-e-īzā-talab

    vaqt ne bhar ke go us par sitam Dhāyā bhī hai

    hijr shab aur yādoñ surūr-āgīñ phuvār

    kuchh to dil be-qarārī ko qarār aayā bhī hai

    laakh maujoñ balā-ḳhezī ne khilvāḌ bhī

    us ne kashtī ko magar sāhil pe pahuñchāyā bhī hai

    phir bhī yārab kyā milegā hāsidoñ ke shahr meñ

    taaj to shohrat ne mujh ko pahnāyā bhī hai

    kyuuñ na 'chāñd' apnī anā ko jaan se rakhūñ aziiz

    ye mirā īmān bhī hai merā sarmāya bhī hai

    ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai

    dosti mein hum ne kuchh khoya hai kuchh paya bhi hai

    ek zara si baat par kyun kar talluq toD dun

    wo purana yar bhi hai mera ham-saya bhi hai

    is taraf dekha to hai be-shak hiqarat se sahi

    shukr hai itna karam to is ne farmaya bhi hai

    yun to kuchh qimat nahin jins-e-wafa ki han magar

    jis qadar arzan hai ye itni garan-maya bhi hai

    sair phir bhi ho nahin paya dil-e-iza-talab

    waqt ne ji bhar ke go us par sitam Dhaya bhi hai

    hijr ki shab aur yaadon ki surur-agin phuwar

    kuchh to dil ki be-qarari ko qarar aaya bhi hai

    lakh maujon ki bala-KHezi ne ki khilwaD bhi

    us ne kashti ko magar sahil pe pahunchaya bhi hai

    phir bhi yarab kya milega hasidon ke shahr mein

    taj to shohrat ka tu ne mujh ko pahnaya bhi hai

    kyun na 'chand' apni ana ko jaan se rakhun aziz

    ye mera iman bhi hai mera sarmaya bhi hai

    Source:

    Jaate Huye Lamho (Pg. 34)

    • Author: Mahendra Partap Chand
      • Edition: 2013
      • Publisher: Amrit Parkashan, Delhi
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now