raqibon mein agar dil baiThta hai
raqīboñ meñ agar dil baiThtā hai
tumhārī hī tarah mil baiThtā hai
kahāñ har aañkh ko miltā hai kājal
kahāñ har hoñTh pe til baiThtā hai
nahīñ karte vahāñ shikva shikāyat
jahāñ masnad pe qātil baiThtā hai
vo ḳhushkī thī ki āñkheñ sūkhtī thiiñ
vo bārish hai ki ab dil baiThtā hai
gharauñde saath le jaatā hai apne
kahāñ ḳhāmosh sāhil baiThtā hai
raqibon mein agar dil baiThta hai
tumhaari hi tarah mil baiThta hai
kahan har aankh ko milta hai kajal
kahan har honTh pe til baiThta hai
nahin karte wahan shikwa shikayat
jahan masnad pe qatil baiThta hai
wo KHushki thi ki aankhen sukhti thin
wo barish hai ki ab dil baiThta hai
gharaunde sath le jata hai apne
kahan KHamosh sahil baiThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.