Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqs-e-hasti ke phisal jaane ka andesha hai

Shakeel Gwaliari

raqs-e-hasti ke phisal jaane ka andesha hai

Shakeel Gwaliari

MORE BYShakeel Gwaliari

    raqs-e-hastī ke phisal jaane andesha hai

    baaġh hāthoñ se nikal jaane andesha hai

    ab to vo sur bhī lagtā hai hamārā mutrib

    raag jis sur pe badal jaane andesha hai

    raat ko ḳhauf mirā chāñd koī chhīn na le

    chāñd ko raat ke Dhal jaane andesha hai

    buuñd bhar tel bachā hai to diyā gul kar do

    varna bastī ke bhī jal jaane andesha hai

    us apnā koī aa jā.egā le jā.egā

    aaj ruk jaa.e to kal jaane andesha hai

    is zamīñ par bhī lagā leñge koī peḌ ustād

    haath se ye bhī ġhazal jaane andesha hai

    raqs-e-hasti ke phisal jaane ka andesha hai

    bagh hathon se nikal jaane ka andesha hai

    ab to wo sur bhi lagta hai hamara mutrib

    rag jis sur pe badal jaane ka andesha hai

    raat ko KHauf mera chand koi chhin na le

    chand ko raat ke Dhal jaane ka andesha hai

    bund bhar tel bacha hai to diya gul kar do

    warna basti ke bhi jal jaane ka andesha hai

    us ka apna koi aa jaega le jaega

    aaj ruk jae to kal jaane ka andesha hai

    is zamin par bhi laga lenge koi peD ustad

    hath se ye bhi ghazal jaane ka andesha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now