Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge

Naseem Dehlvi

rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    rashk-e-adū meñ dekho jaañ tak gañvā deñge

    lo jhuuT jānte ho ik din dikhā deñge

    āvāz tarah se baiTheñge aaj ai jaañ

    dekheñ to aap kyuuñ kar ham ko uThā deñge

    uḌ jā.ūñgā jahāñ se āshiq rañg ho kar

    naqsh-e-qadam nahīñ huuñ jis ko miTā deñge

    ġhairoñ justujū muddat se aarzū hai

    ye yaad vo nahīñ hai jis ko bhulā deñge

    sho.ale nikal rahe haiñ har ustuḳhvāñ se apnī

    sham.eñ ye vo nahīñ haiñ jis ko bujhā deñge

    ḳhāmosh guftugū haiñ afsurda aarzū haiñ

    vo dil nahīñ hamārā jis ko hañsā deñge

    us ḳhaak tak pahuñch kar phirnā 'nasīm' mushkil

    huuñ ashk-ūftāda kyuuñ kar uThā deñge

    rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge

    lo jhuT jaante ho ek din dikha hi denge

    aawaz ki tarah se baiThenge aaj ai jaan

    dekhen to aap kyun kar hum ko uTha hi denge

    uD jaunga jahan se aashiq ka rang ho kar

    naqsh-e-qadam nahin hun jis ko miTa hi denge

    ghairon ki justuju ki muddat se aarzu hai

    ye yaad wo nahin hai jis ko bhula hi denge

    shoale nikal rahe hain har ustuKHwan se apni

    shamen ye wo nahin hain jis ko bujha hi denge

    KHamosh guftugu hain afsurda aarzu hain

    wo dil nahin hamara jis ko hansa hi denge

    us KHak tak pahunch kar phirna 'nasim' mushkil

    hun ashk-uftada kyun kar uTha hi denge

    Source:

    Kulliyat-e-Naseem (Pg. 401)

    • Author: Naseem Dehlvi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now