Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rashk-e-firdaus hai us ghuncha-dahan ki KHushbu

Abdus Samad Aasi

rashk-e-firdaus hai us ghuncha-dahan ki KHushbu

Abdus Samad Aasi

MORE BYAbdus Samad Aasi

    rashk-e-firdaus hai us ġhuncha-dahan ḳhushbū

    merī har saañs meñ hai us ke badan ḳhushbū

    haal kahte hue us mire lab jalte haiñ

    hai ḳhayāloñ meñ mire sho.ala-badan ḳhushbū

    vo parī-vash nazar aa jaa.e to aatī hai mujhe

    shoḳhī-e-dāġh hasrat ke suḳhan ḳhushbū

    mere ash.ār se raushan hai classic charāġh

    hai taġhazzul meñ mire miir ke fan ḳhushbū

    tajraba hai ye ġharīb-ul-vatanī yaaro

    bārhā TuuT ke aatī hai vatan ḳhushbū

    dushman-e-fasl-e-bahārāñ hai vo taḳhrībī hai

    jis meñ aatī na ho ta.amīr-e-vatan ḳhushbū

    'ġhālib'-o-'mīr' 'valī' 'hasrat'-o-'momin' tarah

    sab ke sheroñ meñ hai us husn-e-kuhan ḳhushbū

    haiñ tere phuul se alfāz ġhazleñ 'āsī'

    bazm meñ duur se aatī hai suḳhan ḳhushbū

    rashk-e-firdaus hai us ghuncha-dahan ki KHushbu

    meri har sans mein hai us ke badan ki KHushbu

    haal kahte hue us ka mere lab jalte hain

    hai KHayalon mein mere shoala-badan ki KHushbu

    wo pari-wash nazar aa jae to aati hai mujhe

    shoKHi-e-dagh ki hasrat ke suKHan ki KHushbu

    mere ashaar se raushan hai classic ka charagh

    hai taghazzul mein mere mir ke fan ki KHushbu

    tajraba hai ye gharib-ul-watani ka yaro

    barha TuT ke aati hai watan ki KHushbu

    dushman-e-fasl-e-bahaaran hai wo taKHribi hai

    jis mein aati na ho tamir-e-watan ki KHushbu

    'ghaalib'-o-'mir' 'wali' 'hasrat'-o-'momin' ki tarah

    sab ke sheron mein hai us husn-e-kuhan ki KHushbu

    hain tere phul se alfaz ki ghazlen 'asi'

    bazm mein dur se aati hai suKHan ki KHushbu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now