rasm-e-awargi saughat nahin hoti hai
rasm-e-āvārgī sauġhāt nahīñ hotī hai
merī sahrā se mulāqāt nahīñ hotī hai
bas savālāt ke detā hai javābāt mujhe
baat hotī hai magar baat nahīñ hotī hai
apnī hasrat kā galā ghoñT diyā hai maiñ ne
ab dilāsoñ se mulāqāt nahīñ hotī hai
maiñ ne sochā na thā duniyā se kahūñgā ye bhī
āj-kal tujh se mirī baat nahīñ hotī hai
ye to bādal hai jo raste se bhaTak jaatā hai
varna sahrāoñ meñ barsāt nahīñ hotī hai
rasm-e-awargi saughat nahin hoti hai
meri sahra se mulaqat nahin hoti hai
bas sawalat ke deta hai jawabaat mujhe
baat hoti hai magar baat nahin hoti hai
apni hasrat ka gala ghonT diya hai main ne
ab dilason se mulaqat nahin hoti hai
main ne socha na tha duniya se kahunga ye bhi
aaj-kal tujh se meri baat nahin hoti hai
ye to baadal hai jo raste se bhaTak jata hai
warna sahraon mein barsat nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.