rasta bhi hami log the rahi bhi hamin the

Naseem Siddiqi

rasta bhi hami log the rahi bhi hamin the

Naseem Siddiqi

MORE BY Naseem Siddiqi

  rasta bhī hamī log the raahī bhī hamīñ the

  aur apnī masāfat gavāhī bhī hamīñ the

  jo jañg chhiḌī thī use jiite bhī hamīñ log

  ran chhoḌ ke bhāge vo sipāhī bhī hamīñ the

  vo shahr basā bhī thā hamārī badaulat

  is shahr-e-tamannā tabāhī bhī hamīñ the

  raushan bhī hamī se rahī taqdīr hamārī

  aur apne muqaddar siyāhī bhī hamīñ the

  hai daam jo dariyā meñ vo pheñkā thā hamīñ ne

  us daam meñ phañstī huī maahī bhī hamīñ the

  rasta bhi hami log the rahi bhi hamin the

  aur apni masafat ki gawahi bhi hamin the

  jo jang chhiDi thi use jite bhi hamin log

  ran chhoD ke bhage wo sipahi bhi hamin the

  wo shahr basa bhi tha hamari hi badaulat

  is shahr-e-tamanna ki tabahi bhi hamin the

  raushan bhi hami se rahi taqdir hamari

  aur apne muqaddar ki siyahi bhi hamin the

  hai dam jo dariya mein wo phenka tha hamin ne

  us dam mein phansti hui mahi bhi hamin the

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY