aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raunaq baDhegi ru-e-nashat-e-jamal ki

Naresh Kumar Shad

raunaq baDhegi ru-e-nashat-e-jamal ki

Naresh Kumar Shad

MORE BYNaresh Kumar Shad

    raunaq baḌhegī rū-e-nashāt-e-jamāl

    thoḌī gard Daal do is par malāl

    detī rahī fareb unheñ bhī tirī vafā

    āġhāz meñ bhī jin ko ḳhabar thī ma.aal

    ab is maqām par hai mirī zindagī jahāñ

    kaifiyyat ek hai nashāt o malāl

    allāh-re jazb-e-dīd ki ahl-e-nigāh se

    ḳhud husn bhiik maañg rahā hai jamāl

    dil phir bhī aa gayā ġham-e-daurāñ ke pher meñ

    har-chand maslahat ne baḌī dekh-bhāl

    phūloñ dilkashī ho ki tāroñ raushnī

    parchhā.iyāñ haiñ sab mire husn-e-ḳhayāl

    raunaq baDhegi ru-e-nashat-e-jamal ki

    thoDi si gard Dal do is par malal ki

    deti rahi fareb unhen bhi teri wafa

    aaghaz mein bhi jin ko KHabar thi maal ki

    ab is maqam par hai meri zindagi jahan

    kaifiyyat ek si hai nashat o malal ki

    allah-re jazb-e-did ki ahl-e-nigah se

    KHud husn bhik mang raha hai jamal ki

    dil phir bhi aa gaya gham-e-dauran ke pher mein

    har-chand maslahat ne baDi dekh-bhaal ki

    phulon ki dilkashi ho ki taron ki raushni

    parchhaiyan hain sab mere husn-e-KHayal ki

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 167)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now