Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun

Muzaffar Abdali

raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun

Muzaffar Abdali

MORE BYMuzaffar Abdali

    raunaq-e-arz-o-samā shams o qamar maiñ huuñ

    ġhaur se dekhiye tā-hadd-e-nazar maiñ huuñ

    ho liye saare tamāshā.ī kisī manzil ke

    rah gayā maiñ so sar-e-rāhguzar maiñ huuñ

    mujh se mat pūchh ki kis tarah se ujḌī bastī

    mujh ko bas dekh le rūdād-o-ḳhabar maiñ huuñ

    maiñ bhī muhtāj-e-masīhā.ī tirā huuñ lekin

    mat idhar aa ki mirī jaan idhar maiñ huuñ

    mire malbūs haiñ kim-ḳhvāb ke paivand lage

    ḳhvāb meñ shaam ta.abīr-e-sahar maiñ huuñ

    kashtiyāñ likhtī raheñ roz kahānī apnī

    mauj kahtī rahī zer-o-zabar maiñ huuñ

    vus.at-e-kārgah-e-shīsha-garī ma.āz-allāh

    ḳhaak maiñ jaam bhī maiñ dast-e-hunar maiñ huuñ

    raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun

    ghaur se dekhiye ta-hadd-e-nazar main hi hun

    ho liye sare tamashai kisi manzil ke

    rah gaya main so sar-e-rahguzar main hi hun

    mujh se mat puchh ki kis tarah se ujDi basti

    mujh ko bas dekh le rudad-o-KHabar main hi hun

    main bhi muhtaj-e-masihai tera hun lekin

    mat idhar aa ki meri jaan idhar main hi hun

    mere malbus hain kim-KHwab ke paiwand lage

    KHwab mein sham ka tabir-e-sahar main hi hun

    kashtiyan likhti rahen roz kahani apni

    mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi hun

    wusat-e-kargah-e-shisha-gari maaz-allah

    KHak main jam bhi main dast-e-hunar main hi hun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Muzaffar Abdali

    Muzaffar Abdali

    RECITATIONS

    Muzaffar Abdali

    Muzaffar Abdali,

    Muzaffar Abdali

    raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun Muzaffar Abdali

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now