Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raunaq-e-bazm tha kya hua

Niyaz Ali Niyaz Qaisri

raunaq-e-bazm tha kya hua

Niyaz Ali Niyaz Qaisri

MORE BYNiyaz Ali Niyaz Qaisri

    raunaq-e-bazm thā kyā huā

    ik diyā TimTimātā huā

    ab kare kyā tamāsha koī

    aadmī ḳhud tamāsha huā

    kashtiyāñ Duub kar rah ga.iiñ

    paar dariyā ke tinkā huā

    dekhiye gulsitāñ taraf

    hai har ik phuul maslā huā

    vo namak Daal kar chal diye

    zaḳhm-e-dil aur gahrā huā

    ban gayā zīnat-e-gulsitāñ

    ḳhuuñ hamārā nichoḌā huā

    bebasī dekh kar ai 'niyāz'

    ruk gayā koī aatā huā

    raunaq-e-bazm tha kya hua

    ek diya TimTimata hua

    ab kare kya tamasha koi

    aadmi KHud tamasha hua

    kashtiyan Dub kar rah gain

    par dariya ke tinka hua

    dekhiye gulsitan ki taraf

    hai har ek phul masla hua

    wo namak Dal kar chal diye

    zaKHm-e-dil aur gahra hua

    ban gaya zinat-e-gulsitan

    KHun hamara nichoDa hua

    bebasi dekh kar ai 'niyaz'

    ruk gaya koi aata hua

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 79)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now