Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai

Tabish Raihan

raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai

Tabish Raihan

MORE BYTabish Raihan

    raunaq jahāñ sach hai faqat aadmī se hai

    lekin nizām-e-dahr bhī barham usī se hai

    yaksāñ mo.āmla kahāñ sab sabhī se hai

    nafrat kisī se hai to mohabbat kisī se hai

    mere har ek sher meñ hai aap jhalak

    vābasta merī shā.erī bas aap se hai

    martā hai koī bhuuk se us kise ḳhabar

    sab ko ġharaz bas apnī shikam-parvarī se hai

    raunaq tumhārī bazm meñ pahle kahāñ ye thī

    saarī chahal-pahal mirī maujūdgī se hai

    us ko nasīb chain-o-sukūñ kyā ho ai ḳhudā

    bezār jis qalb tirī bandagī se hai

    daanā dushmanī se to ḳhatra nahīñ koī

    nādān dostoñ magar dostī se hai

    marnā bhī chāhtā nahīñ 'tābish' koī yahāñ

    shikva bhī sub.h shaam magar zindagī se hai

    raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai

    lekin nizam-e-dahr bhi barham usi se hai

    yaksan moamla kahan sab ka sabhi se hai

    nafrat kisi se hai to mohabbat kisi se hai

    mere har ek sher mein hai aap ki jhalak

    wabasta meri shaeri bas aap hi se hai

    marta hai koi bhuk se us ki kise KHabar

    sab ko gharaz bas apni shikam-parwari se hai

    raunaq tumhaari bazm mein pahle kahan ye thi

    sari chahal-pahal meri maujudgi se hai

    us ko nasib chain-o-sukun kya ho ai KHuda

    bezar jis ka qalb teri bandagi se hai

    dana ki dushmani se to KHatra nahin koi

    nadan doston ki magar dosti se hai

    marna bhi chahta nahin 'tabish' koi yahan

    shikwa bhi subh sham magar zindagi se hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now