raushan kisi bhi taur meri zindagi nahin
raushan kisī bhī taur mirī zindagī nahīñ
maiñ jal rahā huuñ aur koī raushnī nahīñ
sukh dukh to aate jaate hī rahte haiñ 'umr-bhar
dariyā meñ koī mauj kabhī āḳhirī nahīñ
ḳhauf-e-ḳhudā se duniyā meñ har ehtiyāt hai
ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ to koī ḳhauf bhī nahīñ
ye 'ishq kā safar hai satat chalte jā.iye
ye vo safar hai jis meñ kabhī vāpsī nahīñ
afsos koī aur bhī terā na ho sakā
mujh ko tire talāq se koī ḳhushī nahīñ
ro.e ho merī vaj.h se tum kitnī martaba
lekin tumhārī hañsne kī 'ādat ga.ī nahīñ
kamzor the jo log vo sab Duub hī ga.e
dariyā ke bhī mizāj meñ dariyā-dilī nahīñ
duniyā zabāñ-darāz hai ham kyā javāb deñ
ye bolne se pahle kabhī sochtī nahīñ
is jism par savār hai ik rūh-e-jāvedāñ
ye rāsta nayā hai savārī na.ī nahīñ
vo bhī mirī ġhazal meñ kamī DhūñDhte rahe
jin kī ġhazal meñ ḳhud hī kamī kī kamī nahīñ
raushan kisi bhi taur meri zindagi nahin
main jal raha hun aur koi raushni nahin
sukh dukh to aate jate hi rahte hain 'umr-bhar
dariya mein koi mauj kabhi aaKHiri nahin
KHauf-e-KHuda se duniya mein har ehtiyat hai
KHauf-e-KHuda nahin to koi KHauf bhi nahin
ye 'ishq ka safar hai satat chalte jaiye
ye wo safar hai jis mein kabhi wapsi nahin
afsos koi aur bhi tera na ho saka
mujh ko tere talaq se koi KHushi nahin
roe ho meri wajh se tum kitni martaba
lekin tumhaari hansne ki 'adat gai nahin
kamzor the jo log wo sab Dub hi gae
dariya ke bhi mizaj mein dariya-dili nahin
duniya zaban-daraaz hai hum kya jawab den
ye bolne se pahle kabhi sochti nahin
is jism par sawar hai ek ruh-e-jawedan
ye rasta naya hai sawari nai nahin
wo bhi meri ghazal mein kami DhunDhte rahe
jin ki ghazal mein KHud hi kami ki kami nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.