raushni ban ke tere sang Thahar jaungi
raushnī ban ke tire sang Thahar jā.ūñgī
maiñ mohabbat huuñ tire dil meñ utar jā.ūñgī
zindagī terī hī rāhoñ meñ bichhā rakkhī hai
tū na aayā to tirī yaad meñ mar jā.ūñgī
ḳhat ḳhayāloñ meñ likhe the jo tirī yādoñ meñ
un ḳhatoñ ko bhī tire naam hī kar jā.ūñgī
dil ke darpan meñ sadā tujh ko basāyā maiñ ne
gar mujhe tū na milā maiñ to bikhar jā.ūñgī
hai mohabbat to kaho khul ke hī dil kī bāteñ
paar dariyā ye tire saath hī kar jā.ūñgī
'ishq to kuchh bhī nahīñ sirf bharosa hai ye
mil gayā mujh ko bharosa to sañvar jā.ūñgī
tīrgī se na Daro mujh pe bharosa kar lo
maiñ 'kiran' huuñ tirī rāhoñ meñ pasar jā.ūñgī
raushni ban ke tere sang Thahar jaungi
main mohabbat hun tere dil mein utar jaungi
zindagi teri hi rahon mein bichha rakkhi hai
tu na aaya to teri yaad mein mar jaungi
KHat KHayalon mein likhe the jo teri yaadon mein
un KHaton ko bhi tere nam hi kar jaungi
dil ke darpan mein sada tujh ko basaya main ne
gar mujhe tu na mila main to bikhar jaungi
hai mohabbat to kaho khul ke hi dil ki baaten
par dariya ye tere sath hi kar jaungi
'ishq to kuchh bhi nahin sirf bharosa hai ye
mil gaya mujh ko bharosa to sanwar jaungi
tirgi se na Daro mujh pe bharosa kar lo
main 'kiran' hun teri rahon mein pasar jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.