Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh

Sadiya Safdar Saadi

raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh

Sadiya Safdar Saadi

MORE BYSadiya Safdar Saadi

    raushnī jab māñgte haiñ ye diye lau se pūchh

    kyoñ añdhere kāñpte haiñ ye diye lau se pūchh

    ishq karnā hai to pahle ishq ke ādāb siikh

    raat kaise kāTte haiñ ye diye lau se pūchh

    kaun ġham hai ki yūñhī chāñd taare mere saath

    raat kaise jāgte haiñ ye diye lau se pūchh

    ham shab-e-tanhā.ī meñ karte haiñ apnā tavāf

    saa.e kaise bhāgte haiñ ye diye lau se pūchh

    ek ik lamha jalā kar ḳhud ko tere hijr meñ

    vaqt kaise māpte haiñ ye diye lau se pūchh

    dūsroñ ke vāste jiite haiñ kaise 'sa.adiya'

    ḳhud ko kaise mārte haiñ ye diye lau se pūchh

    raushni jab mangte hain ye diye ki lau se puchh

    kyon andhere kanpte hain ye diye ki lau se puchh

    ishq karna hai to pahle ishq ke aadab sikh

    raat kaise kaTte hain ye diye ki lau se puchh

    kaun sa gham hai ki yunhi chand tare mere sath

    raat kaise jagte hain ye diye ki lau se puchh

    hum shab-e-tanhai mein karte hain apna hi tawaf

    sae kaise bhagte hain ye diye ki lau se puchh

    ek ek lamha jala kar KHud ko tere hijr mein

    waqt kaise mapte hain ye diye ki lau se puchh

    dusron ke waste jite hain kaise 'sadiya'

    KHud ko kaise marte hain ye diye ki lau se puchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now