Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni ka qalib jab tirgi mein Dhalta hai

Yahya Khalid

raushni ka qalib jab tirgi mein Dhalta hai

Yahya Khalid

MORE BYYahya Khalid

    raushnī qālib jab tīrgī meñ Dhaltā hai

    ḳhvāhishoñ ke siine meñ merā dil machaltā hai

    regzār sochoñ sūrajoñ zad meñ hai

    jism ārzūoñ haule haule jaltā hai

    jab bhī koī hamrāhī saath chhoḌ jaatā hai

    muddatoñ ḳhayāl us saath saath chaltā hai

    umr bhar qismat kab itnā to Thahar jaatā

    jitnā ek muflis ke ghar charāġh jaltā hai

    intizār sahrā phailtā jaatā hai

    ik sarāb ban kar vo rāste badaltā hai

    raushni ka qalib jab tirgi mein Dhalta hai

    KHwahishon ke sine mein mera dil machalta hai

    regzar sochon ka surajon ki zad mein hai

    jism aarzuon ka haule haule jalta hai

    jab bhi koi hamrahi sath chhoD jata hai

    muddaton KHayal us ka sath sath chalta hai

    umr bhar ki qismat kab itna to Thahar jata

    jitna ek muflis ke ghar charagh jalta hai

    intizar ka sahra phailta hi jata hai

    ek sarab ban kar wo raste badalta hai

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 554)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: 25Edition Nov. Dec. 1986
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now