Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni laTki hui talwar si

Zakauddin Shaya.n

raushni laTki hui talwar si

Zakauddin Shaya.n

MORE BYZakauddin Shaya.n

    raushnī laTkī huī talvār

    husn-afzā zindagī ḳhūñ-ḳhvār

    ḳhushbuoñ narm ham-āġhoshiyāñ

    darmiyāñ ik āhanī dīvār

    sāmne sad-rañg nusḳhe, mashvare

    zindagī sadiyoñ se kuchh bīmār

    kaalī āñkhoñ meñ shahābī karvaTeñ

    koī ḳhvāhish raat meñ bedār

    mahv se hote hue aḳhbārī shor

    yaad aahaT achānak taar

    ūñghtī har taraf bedāriyāñ

    aañkh us har tarah hushyār

    dil vahī barbād aur sadiyoñ gard

    vaqt har fat.h bhī be-kār

    raushni laTki hui talwar si

    husn-afza zindagi KHun-KHwar si

    KHushbuon ki narm ham-aghoshiyan

    darmiyan ek aahani diwar si

    samne sad-rang nusKHe, mashware

    zindagi sadiyon se kuchh bimar si

    kali aankhon mein shahabi karwaTen

    koi KHwahish raat mein bedar si

    mahw se hote hue aKHbari shor

    yaad ki aahaT achanak tar si

    unghti si har taraf bedariyan

    aankh us ki har tarah hushyar si

    dil wahi barbaad aur sadiyon ki gard

    waqt ki har fath bhi be-kar si

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now