Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni le kar andheri raat mein nikla na kar

Khaleel Rampuri

raushni le kar andheri raat mein nikla na kar

Khaleel Rampuri

MORE BYKhaleel Rampuri

    raushnī le kar añdherī raat meñ niklā na kar

    raat parde ke liye hai ḳhud ko be-pardā na kar

    dahr phailāv bhī nuqta nazar aane lage

    sher kahtā hai to kah itnā magar sochā na kar

    ek din bhī kisī taare se Takrā jā.egā

    dost mere raat galiyoñ meñ yuuñ ghūmā na kar

    chāñd bhī utrā thā pichhlī shab isī tālāb meñ

    kyuuñ chamaktā hai nahā dho kar badan poñchhā na kar

    aa.ina chamkā.e rakh sab kuchh nazar aa jā.egā

    jis chāhat ho use ḳhud se judā samjhā na kar

    dopahar lahr chehre ko jhulas degī 'ḳhalīl'

    ghar ThanDak chhoḌ kar peḌoñ tale baiThā na kar

    raushni le kar andheri raat mein nikla na kar

    raat parde ke liye hai KHud ko be-parda na kar

    dahr ka phailaw bhi nuqta nazar aane lage

    sher kahta hai to kah itna magar socha na kar

    ek din tu bhi kisi tare se Takra jaega

    dost mere raat ki galiyon mein yun ghuma na kar

    chand bhi utra tha pichhli shab isi talab mein

    kyun chamakta hai naha dho kar badan ponchha na kar

    aaina chamkae rakh sab kuchh nazar aa jaega

    jis ki chahat ho use KHud se juda samjha na kar

    dopahar ki lahr chehre ko jhulas degi 'KHalil'

    ghar ki ThanDak chhoD kar peDon tale baiTha na kar

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 799)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now