Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni lene chale the aur andhere chha gae

Shamim Jaipuri

raushni lene chale the aur andhere chha gae

Shamim Jaipuri

MORE BYShamim Jaipuri

    raushnī lene chale the aur andhere chhā ga.e

    muskurāne bhī na paa.e the ki aañsū aa ga.e

    aaj kitne dost mujh ko dekh kar katrā ga.e

    allāh allāh ab mohabbat meñ ye din bhī aa ga.e

    jab bhī aayā hai kisī ko bhuul jaane ḳhayāl

    yak-ba-yak āvāz aa.ī lījiye ham aa ga.e

    aah vo manzil jo merī ġhaflatoñ se gum huī

    haa.e vo rahbar jo mujh ko raah se bhaTkā ga.e

    phir ye rah rah kar kisī yaad taḌpātī hai kyuuñ

    ab to ham tark-e-mohabbat qasam bhī khā ga.e

    dekh kar un nigāh-e-lutf ik muddat ke baad

    kyā batā.eñ kyā ḳhayāl aayā ki aañsū aa ga.e

    un ke qadmoñ aahaT raat bhar aatī rahī

    dil har dhaḌkan pe ham samjhe ki vo ḳhud aa ga.e

    ab koī dair o haram se bhī sadā aatī nahīñ

    ham tirī dhun meñ ḳhudā jaane kahāñ tak aa ga.e

    raushni lene chale the aur andhere chha gae

    muskurane bhi na pae the ki aansu aa gae

    aaj kitne dost mujh ko dekh kar katra gae

    allah allah ab mohabbat mein ye din bhi aa gae

    jab bhi aaya hai kisi ko bhul jaane ka KHayal

    yak-ba-yak aawaz aai lijiye hum aa gae

    aah wo manzil jo meri ghaflaton se gum hui

    hae wo rahbar jo mujh ko rah se bhaTka gae

    phir ye rah rah kar kisi ki yaad taDpati hai kyun

    ab to hum tark-e-mohabbat ki qasam bhi kha gae

    dekh kar un ki nigah-e-lutf ek muddat ke baad

    kya bataen kya KHayal aaya ki aansu aa gae

    un ke hi qadmon ki aahaT raat bhar aati rahi

    dil ki har dhaDkan pe hum samjhe ki wo KHud aa gae

    ab koi dair o haram se bhi sada aati nahin

    hum teri dhun mein KHuda jaane kahan tak aa gae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raushni lene chale the aur andhere chha gae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now