Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rawan-dawan hai rah-e-taKHayyul jahan KHam-e-zulf ke qarin se

Takht Singh

rawan-dawan hai rah-e-taKHayyul jahan KHam-e-zulf ke qarin se

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    ravāñ-davāñ hai rah-e-taḳhayyul jahāñ ḳham-e-zulf ke qarīñ se

    nazar ke dāman tak aa chalī hai lapaT ghanī chhāñv vahīñ se

    tulūa shāyad hue haiñ sapnoñ ke an-ginat chāñd shāḳh-e-dil par

    ki mauj-dar-mauj chāñdnī bah rahī hai ehsās jabīñ se

    kuchh is tarah nuur phuuT niklā hai zarre-zarre se aarzū

    maiñ jhāñktā huuñ falak āñkhoñ meñ jhuum kar vus.at-e-zamīñ se

    rachā liyā hai vajūd terā yahīñ kahīñ dhyān ke ḳhalaf maiñ

    ki mahkā mahkā dhuāñ palkoñ uTh rahā hai yahīñ kahīñ se

    na jaane laa.e haiñ kitne asrār rang-o-bū ke nafas-nafas meñ

    tirī judā.ī ke pal jo āvāze de rahe haiñ dil-e-hazīñ se

    duā.eñ de ai samay maayā mirī ḳhud-āgāhiyoñ jaañ ko

    ki pau phaTī hai karishma-e-shash-jihat ke irfān yahīñ se

    rawan-dawan hai rah-e-taKHayyul jahan KHam-e-zulf ke qarin se

    nazar ke daman tak aa chali hai lapaT ghani chhanw ki wahin se

    tulua shayad hue hain sapnon ke an-ginat chand shaKH-e-dil par

    ki mauj-dar-mauj chandni bah rahi hai ehsas ki jabin se

    kuchh is tarah nur phuT nikla hai zarre-zarre se aarzu ka

    main jhankta hun falak ki aankhon mein jhum kar wusat-e-zamin se

    racha liya hai wajud tera yahin kahin dhyan ke KHalaf main

    ki mahka mahka dhuan sa palkon ka uTh raha hai yahin kahin se

    na jaane lae hain kitne asrar rang-o-bu ke nafas-nafas mein

    teri judai ke pal jo aawaze de rahe hain dil-e-hazin se

    duaen de ai samay ki maya meri KHud-agahiyon ki jaan ko

    ki pau phaTi hai karishma-e-shash-jihat ke irfan ki yahin se

    Source:

    (Pg. 106)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now