aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham

Khwaja tariq Usmani

rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham

Khwaja tariq Usmani

MORE BYKhwaja tariq Usmani

    ravāñ hai mujh meñ abhī tak vo intiqām shaam

    tire baġhair guzārī jo tere naam shaam

    Thahar ga.ī hai yuuñ mujh meñ tire ḳhirām shaam

    ki jaise gard-e-safar mahv ho qiyām shaam

    sitāra-zād ne jis shab jabīñ ko chūmā thā

    tavīl guzrī thī us shab ke intizām shaam

    ye maslahat taqāza hai junūñ merā

    guzār hai safar meñ jo thī qiyām shaam

    jise zamāna-e-tauhīd sub.h kahtā hai

    vo asal meñ hai mire āḳhirī imaam shaam

    haqīqī sajdoñ qīmat batā ga.ī ham ko

    vo zer-e-teġh namāzoñ ke ehtimām shaam

    vo kaise raat meñ hamrāh ho gayā 'tāriq'

    vo ek ḳhvāb milā thā jo mujh se shaam shaam

    rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham

    tere baghair guzari jo tere nam ki sham

    Thahar gai hai yun mujh mein tere KHiram ki sham

    ki jaise gard-e-safar mahw ho qiyam ki sham

    sitara-zad ne jis shab jabin ko chuma tha

    tawil guzri thi us shab ke intizam ki sham

    ye maslahat ka taqaza hai ya junun mera

    guzar di hai safar mein jo thi qiyam ki sham

    jise zamana-e-tauhid subh kahta hai

    wo asal mein hai mere aaKHiri imam ki sham

    haqiqi sajdon ki qimat bata gai hum ko

    wo zer-e-tegh namazon ke ehtimam ki sham

    wo kaise raat mein hamrah ho gaya 'tariq'

    wo ek KHwab mila tha jo mujh se sham ki sham

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now