Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana

Inam Kabeer

rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana

Inam Kabeer

MORE BYInam Kabeer

    ravāñ nadī ke kināre saḌak pe ruk jaanā

    tum āñsuoñ se nikalnā palak pe ruk jaanā

    vo baar baar nahīñ boltā Thaharne ko

    so us ek zarā lachak pe ruk jaanā

    ai mere yaar tire pīchhe aa rahā huuñ maiñ

    intizār ḳhātir falak pe ruk jaanā

    vo jis jagah pe mile the ham āḳhirī lamhe

    tum us sāmne vaalī saḌak pe ruk jaanā

    rawan nadi ke kinare saDak pe ruk jaana

    tum aansuon se nikalna palak pe ruk jaana

    wo bar bar nahin bolta Thaharne ko

    so us ki ek zara si lachak pe ruk jaana

    ai mere yar tere pichhe aa raha hun main

    tu intizar ki KHatir falak pe ruk jaana

    wo jis jagah pe mile the hum aaKHiri lamhe

    tum us ki samne wali saDak pe ruk jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now