Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya maine

Dildar Hashmi

rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya maine

Dildar Hashmi

MORE BYDildar Hashmi

    ravānī ġham jis meñ thī vo jauhar de diyā maiñ ne

    ġhazal pyāsī thī jazboñ samundar de diyā maiñ ne

    jis ābādī meñ be-sūraj añdherā añdherā thā

    use bhī chāñdnī-rātoñ manzar de diyā maiñ ne

    jo muddat se gire the be-par-o-bālī khaa.ī meñ

    uḌānoñ ke liye un ko bhī shahpar de diyā maiñ ne

    jo palkoñ par sajā kar aas ke kuchh ḳhvāb baiThe the

    unheñ un tamannāoñ maz.har de diyā maiñ ne

    kaho 'dildār' mujh se aur kyā ab chāhiye tum ko

    tumhāre shahr ko tahzīb ghar de diyā maiñ ne

    rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya main ne

    ghazal pyasi thi jazbon ka samundar de diya main ne

    jis aabaadi mein be-suraj andhera hi andhera tha

    use bhi chandni-raaton ka manzar de diya main ne

    jo muddat se gire the be-par-o-baali ki khai mein

    uDanon ke liye un ko bhi shahpar de diya main ne

    jo palkon par saja kar aas ke kuchh KHwab baiThe the

    unhen un ki tamannaon ka mazhar de diya main ne

    kaho 'dildar' mujh se aur kya ab chahiye tum ko

    tumhaare shahr ko tahzib ka ghar de diya main ne

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 627)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now