Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

reg-e-hasti ka istiara ban

Naseer Ahmad Nasir

reg-e-hasti ka istiara ban

Naseer Ahmad Nasir

MORE BYNaseer Ahmad Nasir

    reg-e-hastī isti.āra ban

    ai samundar kabhī kināra ban

    yaum-e-vāraftagī manā ik din

    raqs karte hue sharāra ban

    apnī marzī shakl de ḳhud ko

    ḳhud ko saarā miTā dobāra ban

    chhoḌ baaqī tamām sāzoñ ko

    bas mohabbat ek-tārā ban

    phuul ban kar dikhā zamāne ko

    sañg-e-marmar na sañg-e-ḳhārā ban

    ek dhāge se bāñdh le ḳhud ko

    halkā-phulkā ho ġhubāra ban

    bādaloñ se utar zamīñ par aa

    āb-e-istāda tez dhārā ban

    merī āñkhoñ meñ aa mohabbat se

    merā dekhā huā nazzāra ban

    mujh meñ ta.amīr kar makāñ apnā

    dar darīcha kagar usārā ban

    itnī ḳhāmoshiyoñ se behtar hai

    koī ma.anī bharā ishāra ban

    sub.h tak ḳhuub jagmagā 'nāsir'

    raat āḳhirī sitāra ban

    reg-e-hasti ka istiara ban

    ai samundar kabhi kinara ban

    yaum-e-waraftagi mana ek din

    raqs karte hue sharara ban

    apni marzi ki shakl de KHud ko

    KHud ko sara miTa dobara ban

    chhoD baqi tamam sazon ko

    bas mohabbat ka ek-tara ban

    phul ban kar dikha zamane ko

    sang-e-marmar na sang-e-KHara ban

    ek dhage se bandh le KHud ko

    halka-phulka sa ho ghubara ban

    baadalon se utar zamin par aa

    aab-e-istada tez dhaara ban

    meri aankhon mein aa mohabbat se

    mera dekha hua nazzara ban

    mujh mein tamir kar makan apna

    dar daricha kagar usara ban

    itni KHamoshiyon se behtar hai

    koi mani bhara ishaara ban

    subh tak KHub jagmaga 'nasir'

    raat ka aaKHiri sitara ban

    Source:

    Tasteer (Pg. 263)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now