reh reh ke yaad aati hai us sharmsar ki
reh reh ke yaad aatī hai us sharmsār kī
be-iḳhtiyārī dekh mire iḳhtiyār kī
Dar hai ki gir na jaa.e mohabbat kā āshiyāñ
miTTī khisak rahī hai mire e'tibār kī
murjhā rahā hai dil meñ tirī yaad kā daraḳht
kyā dhuup paḌ rahī hai tire intizār kī
ik tujh ko dekhnā hī mirā kaam kaaj thā
kyoñ dhajjiyāñ uḌā diiñ mire rozgār kī
vo shaḳhs aa ke mere mahalle meñ bas gayā
mujh par nigāh paḌ ga.ī parvardigār kī
reh reh ke yaad aati hai us sharmsar ki
be-iKHtiyari dekh mere iKHtiyar ki
Dar hai ki gir na jae mohabbat ka aashiyan
miTTi khisak rahi hai mere e'tibar ki
murjha raha hai dil mein teri yaad ka daraKHt
kya dhup paD rahi hai tere intizar ki
ek tujh ko dekhna hi mera kaam kaj tha
kyon dhajjiyan uDa din mere rozgar ki
wo shaKHs aa ke mere mahalle mein bas gaya
mujh par nigah paD gai parwardigar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.