Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ret ka Dher imarat mein badalna chaha

Ghulam Rabbani Naeem

ret ka Dher imarat mein badalna chaha

Ghulam Rabbani Naeem

MORE BYGhulam Rabbani Naeem

    ret Dher imārat meñ badalnā chāhā

    maiñ ne har ḳhvāb haqīqat meñ badalnā chāhā

    pahle aa.ī mirī tanhā.ī sāthī ban kar

    phir tirī yaad ne vahshat meñ badalnā chāhā

    pyaar ruuh se mahrūm hai vo dil jis ne

    apnī fitrat ko zarūrat meñ badalnā chāhā

    dekh derīna rivāyāt nāzuk shīsha

    TuuT jā.egā jo ujlat meñ badalnā chāhā

    ghar ke bigḌe hue naqshe pe na mātam kījiye

    farsh ko aap ne ḳhud chhat meñ badalnā chāhā

    aap raa.ī jo parbat na banā.eñ to kahūñ

    maiñ ne nafrat ko mohabbat meñ badalnā chāhā

    ret ka Dher imarat mein badalna chaha

    main ne har KHwab haqiqat mein badalna chaha

    pahle aai meri tanhai ki sathi ban kar

    phir teri yaad ne wahshat mein badalna chaha

    pyar ki ruh se mahrum hai wo dil jis ne

    apni fitrat ko zarurat mein badalna chaha

    dekh derina riwayat ka nazuk shisha

    TuT jaega jo ujlat mein badalna chaha

    ghar ke bigDe hue naqshe pe na matam kijiye

    farsh ko aap ne KHud chhat mein badalna chaha

    aap rai ka jo parbat na banaen to kahun

    main ne nafrat ko mohabbat mein badalna chaha

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 280)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now