ret ke main mere asar mein ret
ret ke maiñ mire asar meñ ret
ret ke saath hai safar meñ ret
har kisī ko hai iḳhtilāf yahāñ
har kisī kī hai kyoñ nazar meñ ret
sūrat-e-dasht zindagānī hai
zindagī ke guzar-basar meñ ret
dasht jaisā to ho gayā huuñ maiñ
bhar ga.ī mere bām-o-dar meñ ret
mujh ko banñā hai qais ke jaisā
paañv chhalnī hoñ aur sar meñ ret
kyoñ Thikāna banā.ūñ sahrā ko
ab to uḌtī hai mere ghar meñ ret
jo sar-e-ā.ina chamaktī hai
aa.ine meñ hai yā nazar meñ ret
ret ke main mere asar mein ret
ret ke sath hai safar mein ret
har kisi ko hai iKHtilaf yahan
har kisi ki hai kyon nazar mein ret
surat-e-dasht zindagani hai
zindagi ke guzar-basar mein ret
dasht jaisa to ho gaya hun main
bhar gai mere baam-o-dar mein ret
mujh ko banna hai qais ke jaisa
panw chhalni hon aur sar mein ret
kyon Thikana banaun sahra ko
ab to uDti hai mere ghar mein ret
jo sar-e-aina chamakti hai
aaine mein hai ya nazar mein ret
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.