Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

reza reza hi tha mismar purana ghar tha

Shahabuddin Shah Qannauji

reza reza hi tha mismar purana ghar tha

Shahabuddin Shah Qannauji

MORE BYShahabuddin Shah Qannauji

    reza reza thā mismār purānā ghar thā

    apne hone se bezār purānā ghar thā

    silvaTeñ jism jaisī thiiñ dīvāroñ par

    aur nazroñ meñ magar pyaar purānā ghar thā

    tajraba umr meñ pinhāñ thā liyāqat jaise

    jaise raushan koī mīnār purānā ghar thā

    ukhḌā ukhḌā thā lahja to Tapaktī chhat thī

    par thā saaya bhī fagan-dār purānā ghar thā

    bikhrā bikhrā thā mohabbat meñ magar yakjā thā

    thā hamārā bhī to ġham-ḳhvār purānā ghar thā

    konā konā thā hamāre liye pairo-kārī

    aur ḳhud ke liye nādār purānā ghar thā

    ḳhud ke īmān bhī fikr duā bhī sab ko

    phuul phuul the gulzār purānā ghar thā

    'shāh' jab se vo gayā dard darmāñ de kar

    phuul lagte haiñ mujhe ḳhaar purānā ghar thā

    reza reza hi tha mismar purana ghar tha

    apne hone se hi bezar purana ghar tha

    silwaTen jism ki jaisi hi thin diwaron par

    aur nazron mein magar pyar purana ghar tha

    tajraba umr mein pinhan tha liyaqat jaise

    jaise raushan koi minar purana ghar tha

    ukhDa ukhDa sa tha lahja to Tapakti chhat thi

    par tha saya bhi fagan-dar purana ghar tha

    bikhra bikhra tha mohabbat mein magar yakja tha

    tha hamara bhi to gham-KHwar purana ghar tha

    kona kona tha hamare liye pairo-kari

    aur KHud ke liye nadar purana ghar tha

    KHud ke iman ki bhi fikr dua bhi sab ko

    phul hi phul the gulzar purana ghar tha

    'shah' jab se wo gaya dard ka darman de kar

    phul lagte hain mujhe KHar purana ghar tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now