Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rida us chaman ki uDa le gai

Muneer Niyazi

rida us chaman ki uDa le gai

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    ridā us chaman uḌā le ga.ī

    daraḳhtoñ ke patte havā le ga.ī

    jo harf apne dil ke Thikānoñ meñ the

    bahut duur un ko sadā le ga.ī

    chalā maiñ sa.ūbat se pur raah par

    jahāñ tak mujhe intihā le ga.ī

    ga.ī jis ghaḌī shām-e-sehr-e-vafā

    manāzir se ik rañg le ga.ī

    nishāñ ik purānā kināre pe thā

    use mauj-e-dariyā bahā le ga.ī

    'munīr' itnā husn us zamāne meñ thā

    kahāñ us ko koī balā le ga.ī

    rida us chaman ki uDa le gai

    daraKHton ke patte hawa le gai

    jo harf apne dil ke Thikanon mein the

    bahut dur un ko sada le gai

    chala main saubat se pur rah par

    jahan tak mujhe intiha le gai

    gai jis ghaDi sham-e-sehr-e-wafa

    manazir se ek rang sa le gai

    nishan ek purana kinare pe tha

    use mauj-e-dariya baha le gai

    'munir' itna husn us zamane mein tha

    kahan us ko koi bala le gai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now