Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rind-e-baada-nosh jis ka mai-kade mein nam tha

Faiz Rahmani Faiz

rind-e-baada-nosh jis ka mai-kade mein nam tha

Faiz Rahmani Faiz

MORE BYFaiz Rahmani Faiz

    rind-e-bāda-nosh jis mai-kade meñ naam thā

    sāqiyā mahfil meñ terī vo tishna-kām thā

    is jahān-e-ārzū meñ āshnā koī na thā

    thā agar kuchh āshnā to dard-e-be-ārām thā

    aaj kyoñ azmat parcham hai hamārā sar-nigūñ

    bām-o-dar par shahr ke kal tak isī naam thā

    jalte rahnā kīna-o-buġhz-o-hasad aag meñ

    kyā tire aslāf ai dil yahī paiġhām thā

    har taraf suunā samāñ thā ḳhāmushī raaj thā

    jo bhī tair-e-ḳhush-navā thā vo asīr-e-dām thā

    mā-sivā is nīm-jāñ aur be-kas-o-nādār ke

    'faiz' terā thā sabhī par aur lutf-e-ām thā

    rind-e-baada-nosh jis ka mai-kade mein nam tha

    saqiya mahfil mein teri wo hi tishna-kaam tha

    is jahan-e-arzu mein aashna koi na tha

    tha agar kuchh aashna to dard-e-be-aram tha

    aaj kyon azmat ka parcham hai hamara sar-nigun

    baam-o-dar par shahr ke kal tak isi ka nam tha

    jalte rahna kina-o-bughz-o-hasad ki aag mein

    kya tere aslaf ka ai dil yahi paigham tha

    har taraf suna saman tha KHamushi ka raj tha

    jo bhi tair-e-KHush-nawa tha wo asir-e-dam tha

    ma-siwa is nim-jaan aur be-kas-o-nadar ke

    'faiz' tera tha sabhi par aur lutf-e-am tha

    Source:

    (Pg. 36)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now