Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rind ki kaenat kya hai KHak

Natiq Gulavthi

rind ki kaenat kya hai KHak

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    riñd kā.enāt kyā hai ḳhaak

    taak vaalī koī baḌā ghar taak

    sūjhtā kyā hai tujh ko nāseh ḳhaak

    vo masal hai ki ā.ankhoñ aage naak

    pher le jis taraf ġharaz chāhe

    aadmī ban gayā hai mom naak

    lo junūñ savārī aa pahuñchī

    mere dāman pe chal rahā hai chaak

    zar-garī aql ma.āz-allāh

    ab khaTā.ī meñ paḌ gayā idrāk

    ho gayā sab lihāz adab be-bāq

    ishq be-tāb husn hai bebāk

    garm-joshī thī ābla-pā.ī

    ab na vo tap na vo tapak na tapāk

    sher meñ aa gayā hai ab ilhām

    laao 'nātiq' likheñ sapāk-o-amāk

    rind ki kaenat kya hai KHak

    tak wali koi baDa ghar tak

    sujhta kya hai tujh ko naseh KHak

    wo masal hai ki aaankhon aage nak

    pher le jis taraf gharaz chahe

    aadmi ban gaya hai mom ki nak

    lo junun ki sawari aa pahunchi

    mere daman pe chal raha hai chaak

    zar-gari aql ki maaz-allah

    ab khaTai mein paD gaya idrak

    ho gaya sab lihaz adab be-baq

    ishq be-tab husn hai bebak

    garm-joshi thi aabla-pai

    ab na wo tap na wo tapak na tapak

    sher mein aa gaya hai ab ilham

    lao 'natiq' likhen sapak-o-amak

    Source:

    Deewan-e-Natiq (Pg. ebook-75 page-63)

    • Author: Natiq Gulavthi
      • Edition: 1976
      • Publisher: Mohammad Abdul Halim
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now