Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rishte-nate kho gae sab ganw ka ghar kho gaya

Qamar Siddiqi

rishte-nate kho gae sab ganw ka ghar kho gaya

Qamar Siddiqi

MORE BYQamar Siddiqi

    rishte-nāte kho ga.e sab gaañv ghar kho gayā

    rail siiTī bajī aur saarā manzar kho gayā

    chalte phirte log saḌkeñ zindagī āvārgī

    har nazāra ek din dil se nikal kar kho gayā

    raat maiñ ne ḳhvāb dekhā ḳhvāb ta.abīr bhī

    ik parinda chhat pe baiThā aur uḌ kar kho gayā

    kuchh nahīñ ab aa.ine meñ saaf dhuñdlā kuchh nahīñ

    aks āñkhoñ meñ jo hotā thā tevar kho gayā

    un sabhī hairān bachchoñ tarah haiñ ham 'qamar'

    vaqt ke is mele meñ jin muqaddar kho gayā

    kho ga.e is baar mere ḳhvāb saare dhund meñ

    aur ab ke ret meñ ye merā bistar kho gayā

    rishte-nate kho gae sab ganw ka ghar kho gaya

    rail ki siTi baji aur sara manzar kho gaya

    chalte phirte log saDken zindagi aawargi

    har nazara ek din dil se nikal kar kho gaya

    raat main ne KHwab dekha KHwab ki tabir bhi

    ek parinda chhat pe baiTha aur uD kar kho gaya

    kuchh nahin ab aaine mein saf dhundla kuchh nahin

    aks ki aankhon mein jo hota tha tewar kho gaya

    un sabhi hairan bachchon ki tarah hain hum 'qamar'

    waqt ke is mele mein jin ka muqaddar kho gaya

    kho gae is bar mere KHwab sare dhund mein

    aur ab ke ret mein ye mera bistar kho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now