aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rizq ka jab nadaron par darwaza band hua

Aftab Iqbal Shamim

rizq ka jab nadaron par darwaza band hua

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    rizq jab nādāroñ par darvāza band huā

    bastī ke goshe goshe se shor buland huā

    matla-e-be-anvār se phūTā shoḳh tabassum kirnoñ

    raat ke ghar meñ sūraj jaisā jab farzand huā

    saada be-āmezish jazba-e-pīr faqīr karāmat

    jis ke ism se māyūsī zahr bhī qand huā

    avval avval shor uThā siine meñ aam tamannā

    band fasīloñ ke gumbad meñ jo do-chand huā

    dukh ko samt-shanāsā.ī ġham ke qurbat-dāroñ ne

    dil dhārā dariyā mil kar bahra-mand huā

    chaliye apne aap se chimTe rahnā to mauqūf kiyā

    jab se roz ke samjhautoñ vo pāband huā

    rizq ka jab nadaron par darwaza band hua

    basti ke goshe goshe se shor buland hua

    matla-e-be-anwar se phuTa shoKH tabassum kirnon ka

    raat ke ghar mein suraj jaisa jab farzand hua

    sada be-amezish jazba-e-pir faqir karamat ka

    jis ke ism se mayusi ka zahr bhi qand hua

    awwal awwal shor uTha sine mein aam tamanna ka

    band fasilon ke gumbad mein jo do-chand hua

    dukh ko samt-shanasai di gham ke qurbat-daron ne

    dil dhaara dariya mil kar bahra-mand hua

    chaliye apne aap se chimTe rahna to mauquf kiya

    jab se roz ke samjhauton ka wo paband hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now