Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rokta hai gham-e-izhaar se pindar mujhe

Mustafa Zaidi

rokta hai gham-e-izhaar se pindar mujhe

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    roktā hai ġham-e-iz.hār se pindār mujhe

    mere ashkoñ se chhupā le mire ruḳhsār mujhe

    dekh ai dasht-e-junūñ bhed na khulne paa.e

    DhūñDne aa.e haiñ ghar ke dar-o-dīvār mujhe

    diye hoñT usī shaḳhs majbūrī ne

    jis qurbat ne kiyā mahram-e-asrār mujhe

    merī āñkhoñ taraf dekh rahe haiñ anjum

    jaise pahchān ga.ī rūh-e-shab-tār mujhe

    jins-e-vīrāni-e-sahrā merī dūkān meñ hai

    kyā ḳharīdegā tire shahr bāzār mujhe

    jaras-e-gul ne ka.ī baar pukārā lekin

    le ga.ī raah se zanjīr jhankār mujhe

    nāvak-e-zulm uThā dashna-e-andoh sañbhāl

    lutf ke ḳhanjar-e-be-nām se mat maar mujhe

    saarī duniyā meñ ghanī raat sannāTā thā

    sehn-e-zindāñ meñ mile sub.h ke āsār mujhe

    rokta hai gham-e-izhaar se pindar mujhe

    mere ashkon se chhupa le mere ruKHsar mujhe

    dekh ai dasht-e-junun bhed na khulne pae

    DhunDne aae hain ghar ke dar-o-diwar mujhe

    si diye honT usi shaKHs ki majburi ne

    jis ki qurbat ne kiya mahram-e-asrar mujhe

    meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anjum

    jaise pahchan gai ruh-e-shab-tar mujhe

    jins-e-virani-e-sahra meri dukan mein hai

    kya KHaridega tere shahr ka bazar mujhe

    jaras-e-gul ne kai bar pukara lekin

    le gai rah se zanjir ki jhankar mujhe

    nawak-e-zulm uTha dashna-e-andoh sanbhaal

    lutf ke KHanjar-e-be-nam se mat mar mujhe

    sari duniya mein ghani raat ka sannaTa tha

    sehn-e-zindan mein mile subh ke aasar mujhe

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 45)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now