Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roz ek shaKHs chala jata hai KHwahish karta

Razi Akhtar Shauq

roz ek shaKHs chala jata hai KHwahish karta

Razi Akhtar Shauq

MORE BYRazi Akhtar Shauq

    roz ik shaḳhs chalā jaatā hai ḳhvāhish kartā

    abhī aa jā.egā bādal koī bārish kartā

    ghar se niklā to jahāñ-zād ḳhudā itne the

    maiñ anā-zād bhī kis kis parastish kartā

    ham to har lafz meñ jānāñ tirī tasvīr hue

    is tarah kaun ā.īna satā.ish kartā

    kisī vahshat-zada aaseb mānind huuñ maiñ

    ik makāñ meñ ka.ī nāmoñ se rihā.ish kartā

    ik na ik din to ye dīvār-e-qafas girnī thī

    maiñ na kartā to koī aur ye shorish kartā

    ab jo tasvīr banā to ye dhun aur lagī!

    kabhī dekhūñ lab-e-tasvīr ko jumbish kartā

    sab añdhere meñ haiñ ik apne makāñ ḳhātir

    kyā havāoñ se charāġhoñ sifārish kartā

    aur kyā mujh se tirī kūza-garī chāhtī hai

    maiñ yahāñ tak to chalā aayā huuñ gardish kartā

    in zamīnoñ pe kyā ḳhosha-e-gandum ke liye

    āsmānoñ se chalā aayā huuñ sāzish kartā

    roz ek shaKHs chala jata hai KHwahish karta

    abhi aa jaega baadal koi barish karta

    ghar se nikla to jahan-zad KHuda itne the

    main ana-zad bhi kis kis ki parastish karta

    hum to har lafz mein jaanan teri taswir hue

    is tarah kaun sa aaina sataish karta

    kisi wahshat-zada aaseb ki manind hun main

    ek makan mein kai namon se rihaish karta

    ek na ek din to ye diwar-e-qafas girni thi

    main na karta to koi aur ye shorish karta

    ab jo taswir bana li to ye dhun aur lagi!

    kabhi dekhun lab-e-taswir ko jumbish karta

    sab andhere mein hain ek apne makan ki KHatir

    kya hawaon se charaghon ki sifarish karta

    aur kya mujh se teri kuza-gari chahti hai

    main yahan tak to chala aaya hun gardish karta

    in zaminon hi pe kya KHosha-e-gandum ke liye

    aasmanon se chala aaya hun sazish karta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now