Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roz-o-shab husn-e-ruKH-e-yar pe hairan hona

Jaleel Qidwai

roz-o-shab husn-e-ruKH-e-yar pe hairan hona

Jaleel Qidwai

MORE BYJaleel Qidwai

    roz-o-shab husn-e-ruḳh-e-yār pe hairāñ honā

    hai mohabbat meñ yahī sāhab-e-īmāñ honā

    sāneha ye bhī ajab ishq meñ mujh par guzrā

    merī ummīd ke gulshan bayābāñ honā

    husn ke nāḳhun-e-tadbīr se kyā mushkil hai

    ishq ke uqda-e-dushvār āsāñ honā

    qatra-e-ashk chilman se nigah ne dekhā

    un ke hoñToñ pe tabassum numāyāñ honā

    ik na.ī tarz-e-jafā ishq meñ ījād huī

    us ne sīkhā hai jafāoñ pe pashemāñ honā

    kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye mohabbat kyā hai

    un ko kar bhī unhīñ ke liye hairāñ honā

    rāt-bhar merī nigāhoñ ne ye manzar dekhā

    chāñd abr meñ chhup-chhup ke numāyāñ honā

    maiñ ne kuchh faiz har ustād se paayā hai 'jalīl'

    tab kahīñ ke mayassar hai suḳhan-dāñ honā

    roz-o-shab husn-e-ruKH-e-yar pe hairan hona

    hai mohabbat mein yahi sahab-e-iman hona

    saneha ye bhi ajab ishq mein mujh par guzra

    meri ummid ke gulshan ka bayaban hona

    husn ke naKHun-e-tadbir se kya mushkil hai

    ishq ke uqda-e-dushwar ka aasan hona

    qatra-e-ashk ki chilman se nigah ne dekha

    un ke honTon pe tabassum ka numayan hona

    ek nai tarz-e-jafa ishq mein ijad hui

    us ne sikha hai jafaon pe pasheman hona

    kuchh samajh mein nahin aata ye mohabbat kya hai

    un ko pa kar bhi unhin ke liye hairan hona

    raat-bhar meri nigahon ne ye manzar dekha

    chand ka abr mein chhup-chhup ke numayan hona

    main ne kuchh faiz har ustad se paya hai 'jalil'

    tab kahin ja ke mayassar hai suKHan-dan hona

    Source:

    Nawa-e-Seena Taab (Pg. 17)

    • Author: Jaleel Qidwai
      • Publisher: Nazir Printing Press, Karachi
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now