Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun

Ada Jafarey

roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun

Ada Jafarey

MORE BYAda Jafarey

    roz-o-shab koī sūrat to banā kar rakhkhūñ

    kisī lahje kisī aahaT ko sajā kar rakhkhūñ

    koī aañsū ujālā koī mahtāb yaad

    ye ḳhazīne haiñ inheñ sab se chhupā kar rakhkhūñ

    shor itnā hai ki kuchh kah na sakūñgī us se

    ab ye sochā hai nigāhoñ ko dabā kar rakhkhūñ

    āñdhiyāñ haar ga.iiñ jab ḳhayāl aayā hai

    phuul ko tund havāoñ se bachā kar rakhkhūñ

    mere āñchal meñ sitāre sitāre haiñ 'adā'

    ye jo sadiyāñ haiñ judā.ī sajā kar rakhkhūñ

    roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun

    kisi lahje kisi aahaT ko saja kar rakhkhun

    koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad

    ye KHazine hain inhen sab se chhupa kar rakhkhun

    shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se

    ab ye socha hai nigahon ko daba kar rakhkhun

    aandhiyan haar gain jab tu KHayal aaya hai

    phul ko tund hawaon se bacha kar rakhkhun

    mere aanchal mein sitare hi sitare hain 'ada'

    ye jo sadiyan hain judai ki saja kar rakhkhun

    Source:

    Aiwan (Pg. 13)

    • Author: Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nirali Duniya
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now