aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rozana koi kasa gadai ka uTha kar

Azeez Adil

rozana koi kasa gadai ka uTha kar

Azeez Adil

MORE BYAzeez Adil

    rozāna koī kaasa gadā.ī uThā kar

    kūche se guzar jaatā hai āvāz lagā kar

    ye kaisā sitam hai ki dikhā.ī na de mujh ko

    vo shaḳhs jo niklā nahīñ siine meñ samā kar

    dil kis tasallī ke liye jalne lagā thā

    dil kis ke liye raakh huā ḳhud ko jalā kar

    ik ā.ina-bardār ke māthe pe likhā thā

    sach bol magar jhuuT shīrīnī milā kar

    duniyā har ik sāhab-o-muḳhtār bhī tujh

    insān hai insāñ ko banāyā na ḳhudā kar

    ye hijr-e-musalsal rahā ā.īn-e-mohabbat

    is dard talḳhī se pareshāñ na huā kar

    'ādil' ye sar-e-shām kahāñ jaane lagā hai

    suut dastār meñ paivand lagā kar

    rozana koi kasa gadai ka uTha kar

    kuche se guzar jata hai aawaz laga kar

    ye kaisa sitam hai ki dikhai na de mujh ko

    wo shaKHs jo nikla nahin sine mein sama kar

    dil kis ki tasalli ke liye jalne laga tha

    dil kis ke liye rakh hua KHud ko jala kar

    ek aaina-bardar ke mathe pe likha tha

    sach bol magar jhuT ki shirini mila kar

    duniya ka har ek sahab-o-muKHtar bhi tujh sa

    insan hai insan ko banaya na KHuda kar

    ye hijr-e-musalsal raha aain-e-mohabbat

    is dard ki talKHi se pareshan na hua kar

    'adil' ye sar-e-sham kahan jaane laga hai

    tu sut ki dastar mein paiwand laga kar

    Source:

    Inpage File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now