ruk meri jaan mere jism mein jaan baqi hai
ruk mirī jaan mire jism meñ jaañ baaqī hai
zulmat-e-shab meñ mirī lau kā dhuāñ baaqī hai
naam taḳhtī se miTāyā hai magar us kā kyā
taḳhta-e-dār pe jo merā nishāñ baaqī hai
maut par haath na maliyo ki abhī ai yaaro
moḌ aayā hai faqat qissa-e-jāñ baaqī hai
phir khileñge isī gulshan meñ rupahle buuTe
merī ummīd mirī hai pa gumāñ baaqī hai
baaġh apnā hai har ik phuul hai apnā lekin
vo jo ḳhushbū thī miyāñ ab vo kahāñ baaqī hai
ruk meri jaan mere jism mein jaan baqi hai
zulmat-e-shab mein meri lau ka dhuan baqi hai
nam taKHti se miTaya hai magar us ka kya
taKHta-e-dar pe jo mera nishan baqi hai
maut par hath na maliyo ki abhi ai yaro
moD aaya hai faqat qissa-e-jaan baqi hai
phir khilenge isi gulshan mein rupahle buTe
meri ummid meri hai pa guman baqi hai
bagh apna hai har ek phul hai apna lekin
wo jo KHushbu thi miyan ab wo kahan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.