Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruKH-e-rangin pe ashkon ki rawani ab bhi hoti hai

Sayyad Safdar Hussain

ruKH-e-rangin pe ashkon ki rawani ab bhi hoti hai

Sayyad Safdar Hussain

MORE BYSayyad Safdar Hussain

    ruḳh-e-rangīñ pe ashkoñ ravānī ab bhī hotī hai

    sunā hai mujh pe un mehrbānī ab bhī hotī hai

    sukūt-e-ishq iz.hār-e-tamannā ab bhī kartā hai

    nigāh-e-nāz sarf-e-lan-tarānī ab bhī hotī hai

    taġhāful ne kisī ke kar diyā bezār jiine se

    magar ummīd vaj.h-e-zindagānī ab bhī hotī hai

    sitāre be-palak jhapkā.e sunte haiñ ye afsāna

    lab-e-mahtāb par tirī kahānī ab bhī hotī hai

    bahāroñ ko jo luuTe vo javānī ab na ho lekin

    bahāreñ jis ko lūTeñ vo javānī ab bhī hotī hai

    ye maanā rāz-e-dil kah kar dil apnā kar liyā halkā

    magar mahsūs un sar-girānī ab bhī hotī hai

    tire va.ade badal sakte nahīñ merī tabī.at ko

    tire va.adoñ pe aksar bad-gumānī ab bhī hotī hai

    umīdeñ haiñ charāġh-e-rahguzar in bharosa kyā

    basar tārīkiyoñ meñ zindagānī ab bhī hotī hai

    samajhte the jo āñkhoñ zabāñ vo ab kahāñ lekin

    nigāhoñ se diloñ tarjumānī ab bhī hotī hai

    jise sunte the ham tum chāñd ThanDī shuāoñ meñ

    sitāroñ zabāñ par vo kahānī ab bhī hotī hai

    huī muddat ki zaḳhm-e-ārzū murjhā ga.e lekin

    mirī sūrat tire ġham nishānī ab bhī hotī hai

    chaman vāloñ ke ādāb-e-junūñ mo.ajiza kahiye

    ki dāmān-e-ḳhizāñ se gul-fishānī ab bhī hotī hai

    bahut kuchh de chukī hai zindagī ko us haq duniyā

    magar be-kaif muflis ko javānī ab bhī hotī hai

    mire ashkoñ se 'safdar' ab bhī bhar jaatā hai jaam apnā

    baġhair un ke mai-e-gul-rang paanī ab bhī hotī hai

    ruKH-e-rangin pe ashkon ki rawani ab bhi hoti hai

    suna hai mujh pe un ki mehrbani ab bhi hoti hai

    sukut-e-ishq izhaar-e-tamanna ab bhi karta hai

    nigah-e-naz sarf-e-lan-tarani ab bhi hoti hai

    taghaful ne kisi ke kar diya bezar jine se

    magar ummid wajh-e-zindagani ab bhi hoti hai

    sitare be-palak jhapkae sunte hain ye afsana

    lab-e-mahtab par teri kahani ab bhi hoti hai

    bahaaron ko jo luTe wo jawani ab na ho lekin

    bahaaren jis ko luTen wo jawani ab bhi hoti hai

    ye mana raaz-e-dil kah kar dil apna kar liya halka

    magar mahsus un ki sar-girani ab bhi hoti hai

    tere wade badal sakte nahin meri tabiat ko

    tere wadon pe aksar bad-gumani ab bhi hoti hai

    umiden hain charagh-e-rahguzar in ka bharosa kya

    basar tarikiyon mein zindagani ab bhi hoti hai

    samajhte the jo aankhon ki zaban wo ab kahan lekin

    nigahon se dilon ki tarjumani ab bhi hoti hai

    jise sunte the hum tum chand ki ThanDi shuaon mein

    sitaron ki zaban par wo kahani ab bhi hoti hai

    hui muddat ki zaKHm-e-arzu murjha gae lekin

    meri surat tere gham ki nishani ab bhi hoti hai

    chaman walon ke aadab-e-junun ka moajiza kahiye

    ki daman-e-KHizan se gul-fishani ab bhi hoti hai

    bahut kuchh de chuki hai zindagi ko us ka haq duniya

    magar be-kaif muflis ko jawani ab bhi hoti hai

    mere ashkon se 'safdar' ab bhi bhar jata hai jam apna

    baghair un ke mai-e-gul-rang pani ab bhi hoti hai

    Source:

    Charagh-e-Dair-o-Haram (Pg. 34)

    • Author: Sayyad Safdar Hussain
      • Publisher: Bargah-e-Adab, Karachi
      • Year of Publication: 1964
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now