Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruKH se parda uTha de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega

Anwar Mirzapuri

ruKH se parda uTha de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega

Anwar Mirzapuri

MORE BYAnwar Mirzapuri

    ruḳh se parda uThā de zarā sāqiyā bas abhī rañg-e-mahfil badal jā.egā

    hai jo behosh vo hosh meñ aa.egā girne vaalā hai jo vo sambhal jā.egā

    log samjhe the ye inqilāb aate nazm-e-kohna chaman badal jā.egā

    ye ḳhabar kis ko thī ātish-e-gul se tinkā tinkā nasheman jal jā.egā

    tum tasallī na do sirf baiThe raho vaqt kuchh mere marne Tal jā.egā

    kyā ye kam hai masīhā ke rahne se maut bhī irāda badal jā.egā

    tiir jaañ hai dil dil jaañ tiir hai tiir ko yuuñ na khīñcho kahā maan lo

    tiir khīñchā to dil bhī nikal aa.egā dil jo niklā to dam bhī nikal jā.egā

    ek muddat huī us ko ro.e hue ek arsa huā muskurā.e hue

    zabt-e-ġham ab aur us se va.ada na ho varna bīmār dam nikal jā.egā

    apne parde rakhnā hai gar kuchh bharam sāmne aanā jaanā munāsib nahīñ

    ek vahshī se ye chheḌ achchhī nahīñ kyā karoge agar ye machal jā.egā

    apne va.ade ehsās hai to magar dekh kar tum ko aañsū umañD aa.e haiñ

    aur agar tum ko ye bhī gavārā nahīñ abr barse baġhair ab nikal jā.egā

    merā dāman to jal chukā hai magar aañch tum par bhī aa.e gavārā nahīñ

    mere aañsū na poñchho ḳhudā ke liye varna dāman tumhārā bhī jal jā.egā

    dil meñ taaza ġham-e-āshiyāñ hai abhī mere nāloñ se barham na sayyād ho

    dhīre dhīre ye aañsū bhī tham jā.eñge rafta rafta ye dil bhī bahal jā.egā

    merī fariyād se vo taḌap jā.eñge mere dil ko malāl is hogā magar

    kyā ye kam hai ki vo be-naqāb ā.eñge marne vaale armāñ nikal jā.egā

    phuul kuchh is tarah toḌ de bāġhbāñ shāḳh hilne na paa.e na āvāz ho

    varna gulshan pe raunaq na phir aa.egī dil agar har kisī dahal jā.egā

    us ke hañsne meñ rone andāz hai ḳhaak uḌāne meñ fariyād raaz hai

    us ko chheḌo na 'anvar' ḳhudā ke liye varna bīmār dam nikal jā.egā

    ruKH se parda uTha de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega

    hai jo behosh wo hosh mein aaega girne wala hai jo wo sambhal jaega

    log samjhe the ye inqilab aate hi nazm-e-kohna chaman ka badal jaega

    ye KHabar kis ko thi aatish-e-gul se hi tinka tinka nasheman ka jal jaega

    tum tasalli na do sirf baiThe raho waqt kuchh mere marne ka Tal jaega

    kya ye kam hai masiha ke rahne hi se maut ka bhi irada badal jaega

    tir ki jaan hai dil dil ki jaan tir hai tir ko yun na khincho kaha man lo

    tir khincha to dil bhi nikal aaega dil jo nikla to dam bhi nikal jaega

    ek muddat hui us ko roe hue ek arsa hua muskurae hue

    zabt-e-gham ka ab aur us se wada na ho warna bimar ka dam nikal jaega

    apne parde ka rakhna hai gar kuchh bharam samne aana jaana munasib nahin

    ek wahshi se ye chheD achchhi nahin kya karoge agar ye machal jaega

    apne wade ka ehsas hai to magar dekh kar tum ko aansu umanD aae hain

    aur agar tum ko ye bhi gawara nahin abr barse baghair ab nikal jaega

    mera daman to jal hi chuka hai magar aanch tum par bhi aae gawara nahin

    mere aansu na ponchho KHuda ke liye warna daman tumhaara bhi jal jaega

    dil mein taza gham-e-ashiyan hai abhi mere nalon se barham na sayyaad ho

    dhire dhire ye aansu bhi tham jaenge rafta rafta ye dil bhi bahal jaega

    meri fariyaad se wo taDap jaenge mere dil ko malal is ka hoga magar

    kya ye kam hai ki wo be-naqab aaenge marne wale ka arman nikal jaega

    phul kuchh is tarah toD de baghban shaKH hilne na pae na aawaz ho

    warna gulshan pe raunaq na phir aaegi dil agar har kisi ka dahal jaega

    us ke hansne mein rone ka andaz hai KHak uDane mein fariyaad ka raaz hai

    us ko chheDo na 'anwar' KHuda ke liye warna bimar ka dam nikal jaega

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    Munni Begum

    Munni Begum

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now